Kyon Video – Barfi! (2012)

‘Kyon’ Official Brand New HD Full Song Of The Upcoming Hindi Movie Barfi! Starring Ranbir Kapoor, Priyanka Chopra And Ileana, this film releases on September, 14th, 2012.

Video Info:-
Song: Kyon
Singers : Papon and Sunidhi Chauhan
Lyrics : Neelesh Misra
Music : Pritam
Director : Anurag Basu
Producer : UTV Motion Pictures in association with Ishana Movies.

Barfi! (2012) Hindi Movie Songs Lyrics | All Songs Lyrics

Music Director: Pritam Chakraborty
Singers: Mohit Chauhan, Swanand Kirkire, Papon, Nikhil Paul George, Sunidhi Chauhan, Shreya Ghoshal, Arijit Singh, Rekha Bhardwaj.
Lyricists: Swanand Kirkire
Label: T-Series
Song Title: Ala Barfi!
Singer: Mohit Chauhan,Swanand Kirkire
Oo..
Aankhon hi aankhon mein kare baatein
Gupchup gupchup gupchup gup
Khuus fus khus fus khus
O o ye..
Khwaabon ki nadi mein khaaye gote
Gud gud gud gud gud gud hoye
Bud bud bud bud bud bud..
Ala ala matwaala Barfi
Paanv pada mota chhala barfi
Raaton ka hai yeh ujaala barfi
Gumsum gumsum hi machaye yeh toh utpaat
Khur.khur.khur khur khurafati kare non-stop
Khur khur khur khur (hoye)
Bud bud bud bud (hey!)
Gud gud gud gud maula issi se bachaai le
Hey..
Aankhon hi aankhon mein kare baatein
Gupchup gupchup gupchup oye
Fus fus fus fus oo aye..
Khwaabon ki nadi mein khaaye gote
Gud gud gud gud gud… oye
Bud bud bud bud…
Kabhi na rukta re, kabhi na thamta re
Gham jo dikha usey khusiyon ki thokar maare
Palko ki harmuniya, naino ki gaa re saare
Dhadkan ki rhythm pe ye gaata jaaye gaane pyare
Bhola na shamjho yeh chaalu khiladi hai bada bada
Hey.. hey
Sooraj ye bujha dega, maarega phoonk aisi
Top talaiya, peepal chaiyya
Har kooche ki aisi taisi
Hey..
Aankhon hi aankhon mein kare baatein
Gupchup gupchup gupchup hoye
Fus fus fus fus oo aye..
O o ye..
Khwaabon ki nadi mein khaaye gote
Gud gud gud gud gud gud oye
Bud bud bud bud
Barfi jab amma ji ki kokh mein tha soya
Amman ne murfi ka radio mangaya
Murfi jaisa lalla amma ka tha sapna
Munna jab haule-halue duniya mein aaya
Baba ne Ceylon wala station
(Radio Ceylon is oldest radio station in Asia)
Radio on hua amma off hui
Toota har sapna
Oh o ye..
Munna mute hi aansu bahaaye o..
O o ye Munna jhunjhuna sun bhi na paaye
Jhun jhun jhun jhun….
Ala ala bada ala Barfi
Paanv pada mota chhala barfi
Raaton ka hai yeh ujaala barfi
Gumsum gumsum hi machaye yeh toh utpaat
Khur.khur.khur khur khurafati kare non-stop
Khur khur khur khur (hoye)
Bud bud bud bud (hey!)
Gud gud gud gud maula iss se bachaai le
Khur khur khur khur (hoye)
Bud bud bud bud (hey!)
Gud gud gud…
Aankhon hi aankhon mein kare baatein
Gupchup gupchup gupchup gup
Fus fus fus fus
O o ye..
Khwaabon ki nadi mein khaaye gote
Gud gud gud gud gud gud hoye
Bud bud bud bud bud bud..


Song Title: Main Kya Karoon
Singer: Nikhil Paul George
Dil ye mera bas mein nahi
Pehla kabhi aisa hota tha nahi
hmm..
Dil ye mera bas mein nahi
Pehla kabhi aisa hota tha nahi
Tu hi bata iss dil ka main
Ab kya karoon
Kehne pe chalta nahi
Kuch dinon se meri sunta nahi
Tu hi bata iss dil ka main ooh uff main kya karoon


Main kya karoon.. (keeps repeating)
Karta hai awaargi
Iss pe dhun chadhi hai pyar ki
Naa jaane gum hai kahaan
Baaton mein hai pada bekaar ki
Ulti ye baat hai
Aise haalaat hai
Ghalati kare ye main bharu
Uff dil ka kya karoon
Main kya karoon
Main kya karoon… (keeps repeating)


Song Title: Kyon
Singer: Papon, Sunidhi Chauhan
Kyon, na hum tum
Chalein tedhe-medhe se raston pe nange paanv re
Chal, bhatak le naa baawre
Kyon na hum tum
Phire jaake almast pehchaani raahon ke pare
Chal bhatak le na baawre
Inn timtimati nigaahon mein
Inn chamchamati adaaon mein
Luke hue, chhupe huey
Hai kya khayaal baawre
Kyun na hum tum
Chale zindagi ke nashe mein hi dhut sarphire
Chal bhatak le na baawre
Kyun na hum tum
Talashein bageechon mein phursat bhari chhanv re
Chal bhatak le na baawre
Inn gungunati fizaaon mein
Inn sarsarati hawaaon mein
Tukar-tukar yun dekhe kya
Kya tera haal baawre
Naa lafz kharch karna tum
Naa lafz kharch hum karenge
Nazar ke kankadon se
Khamoshiyon ki khidkiyan yun todenge
Mila ke mast baat phir karenge
Naa harf kharch karna tum (harf means “Akshar” a letter)
Naa harf kharch hum karenge
Nazar ki syaahi se likhenge
Tujhe hazaar chitthiyaan khamoshi jhidkiyaan
(Jhidkiyaan means Scoldings)
Tere pate pe bhej denge
Sun, khankhanati hai zindagi
Le, Humein bulati hai zindagi
Jo karna hai aaj kar naa isko taal baawre
Aha ha
Kyun, na hum tum
Chale tedhe-medhe se raston pe nange paanv re
Chal bhatak le na baawre
Kyun, na hum tum
Phire jaa ke almast pehchani raahon ke pare
Chal bhatak le na baawre
Inn, timtimaati nigaahon mein
Inn, chamchamaati adaaon mein
luke huey, chhupe huey
Hai kya khayaal baawre

Song Title: Phir Le Aaya Dil
Singer: Reprise: Arijit Singh, Female Version: Rekha Bhardwaj
Phir le aaya dil majboor kya keeje
Raas na aaya rehna door kya keeje
Dil keh raha use maqammal kar bhi aao
Wo jo adhoori si baat baaki hai
Wo jo adhoori si yaad baaki hai
Wo jo adhoori si yaad baaki hai
Karte hain hum aaj qabool kya keeje
Ho gayi thi jo humse bhool kya keeje
Dil keh raha use mayassar kar bhi aao
Wo jo dabi si aas baaki hai
Wo jo dabi si aanch baaki hai
Wo jo dabi si aanch baaki hai
Wo jo dabi si… aanch baaki hai
Kismat ko hai yeh manzoor kya keeje
Milte rahe hum badastoor kya keeje
Dil keh raha hai use musalsal kar bhi aao
Wo jo ruki si raah baaki hai
Wo jo ruki si chaah baaki hai
Wo jo ruki si chaah baaki hai
Wo jo ruki si chaah baaki hai..

Song Title: Aashiyan
Singer: Shreya Ghoshal, Nikhil Paul George
Itti si hansi
Itti si khushi
Itta sa tukda chand ka
Khwabon ke tinkon se
Chal banayeinn aashiyaan (x2)
Dabe dabe paaon se
Aaye haule haule zindagi
Hothon pe puppy chadha ke
Hum taale laga ke chal
Gumsum tarane chupke chupke gaayein
Aadhi aadhi baatein ye
Aaja dil ki ye zameen
Thoda sa tera sa hoga
Thoda mera bhi hoga apna ye aashiyan
Itti si hansi
Itti si khushi
Itta sa tukda chand ka
Khwabon ke tinkon se
Chal banayeinn aashiyan
Naa ho chaar deewarein
Phir bhi jharokhe khule
Baadalon ke hothon pe
Shaakhein hari, pankha chale
Naa ho koi takraarein
Are masti thahaake chalein
Pyaar ke sikkon se mahine ka kharcha chale
Dabe dabe paaon se
Aaye haule haule zindagi
Hothon pe puppy chadha ke
Hum taale laga ke chal
Gumsum tarane chupke chupke gaayein
Aadhi aadhi baatein ye
Aaja dil ki ye zameen
Thoda sa tera sa hoga
Thoda mera bhi hoga apna ye Aashiyan
Itti si hansi
Itti si khushi
Itta sa tukda chand ka
Khwabon ke tinkon se
Chal banayeinn Aashiyan (x2)

Song Title: Saanwali Si Raat
Singer: Arjit Singh
Saawali si raat ho, khamoshi ka saath ho
hmm Saawali si raat ho, khamoshi ka saath ho
Bin kahe bin sune, baat ho teri meri
Neend jab ho laapata, udasiyaan zara hata
Khwabon ki razaai mein, raat ho teri meri

hmmm mmm…
Jhilmil taaron si aankhein teri
Khare khare paani ki jheelein bhare
Hardam yun hi tu hansti rahe
Har pal hai dil mein khwahishein
Khamoshi ki loriyaan sun toh raat so gayi

Bin kahe bin sune, baat ho teri meri
Saawali si raat ho Khamoshi ka saath ho
Bin kahe bin sune, baat ho teri meri

Barfi ke tukde sa, chanda dekho aadha hai
Dheere dheere chakhna zara
hmm Hansne rulane ka aadha-pauna vaada hai
Kankhi se takna zara
Ye jo lamhe hain lamhon ki behti nadi mein
Haan bheeg loon, haan bheeg loon
Ye jo aankhen hain aankhon ki gumsum zubaan ko
Main seekh loon, haan seekh loon
Ankahee si guftagu, ansuni si justajoo
Bin kahe, bin sune, apni baat ho gayi

Saawali si raat ho khamoshi ka saath ho
Bin kahe bin sune, baat ho teri meri

Main Kya Karoon Video – Barfi! (2012)

Watch ‘Main Kya Karoon’ Official Brand New HD Full Song Of The Upcoming Hindi Movie Barfi! Starring Ranbir Kapoor, Priyanka Chopra And Ileana, this film releases on September, 14th, 2012.


Video Info:-
Song: Main Kya Karoon
Movie: Barfi!
Actor: Ranbir Kapoor
Actress: Priyanka Chopra, Ileana D’Cruz
Singer: Nikhil Paul George
Composer: Pritam

Ranbir Kapoor & Deepika Padukone To Bring Back ‘Jumma Chumma De De’

Ranbir Kapoor and Deepika Padukone will be dancing to the 1991 hit track ‘Jumma Chumma De De’ in their forthcoming film ‘Yeh Jawaani Hai Deewani.’

While the original had Amitabh Bachchan wooing model turned actress, Kimi Katkar, alongside Kavita Krishnamurthy and Sudesh Bhosle on the vocals, the new version will have Ranbir singing to a few naughty lines.
We wonder if Ranbir and Deepika will don similar outfits and more so whether they will actually kiss in the end.
Though it’s still early stages, the film’s music has surely created a huge buzz!